Guruvaar ko kyu baal dhoye nahi jaate......!!!

Guruvaar ko kyu baal dhoye nahi jaate......!!!

                        Bade bujurgo ko kai baar ye kahte hue suna hai, ke aaj guruvaar hai, to baal mat dhona. Samay badal gaya hai. Logo ki soch bhi badal chuki hai. Fir bhi aaj Guruvaar ko baal dhone
se pahele ek baar jarur mann mai ye vichar aahi jata hai, Yuhi nahi kahaa hai bade bujurgo ne.
                        
                        Prachin dant katha anusar, Hindu dharm me Guruvaar ke din ko sabse pavitra din 
maanaa jaataa hai. Ye din Bhagwan Visnu ko samarpit kiya gayaa hai. BruhaspatiDev ki pujaa aaraadhnaa karne ke karan is din ko Guruvaar kahaa jaataa hai. Is din ko log prarthana Aaradhna
karke apne parivaar ke har sadasya ke liye swasthya or sukh ki kaamna ki jaati hai. Is din baan naa 
dhone ki ek kathaa hai.
                      
                        Ek samay ki baat hai,  ek amir vyaapari or uski patni the, dono hi bahot khus the. Ek 
sampann jivan ji rahe the. Patni gharelu shtri thi or bahut hi kanjus thi. Use daan dena pasand nahi 
tha. Ek baar ek bhikhari ne usi shtri se khana manga tab us shtri kaa pati ghar par nahi thaa. Parantu 
vah shtri ne bhikhari ko jawab diya ke vo ghar ke kaam me vyast hai to baad me aana. Aise hi vo 
bhikhari roj alag alag samay par aata rahaa. Or vah shtri har roj aise hi jawab de kar naa kar deti thi
ke ghar ke kaam me vyast hai.
              
                        Ek din bhaikhari ne mahilaa ko puchh hi liyaa ke vo kab vyast nahi hoti or use khana
de sake. yah baat sunte hi mahilaa ko bada gussa aagaya or vo boli ki, meri or dekho main kabhi bhi free nahi hoti. Tab bhikhari ne kahaa ki Bruhaspati vaar ke din sir dho lena tum bhi meri tarah hamesa hamesa khali ho jaogi.
                         Shtri ne bhikhari ki baat ko majaak me le ke chhod di. Or har roj baal dhoti thi vaise hi usne BruhaspatiVaar ko bhi baal dho dale. Phir kya, us mahila ke ghar ka pura dhan barbaad ho
gaya or uske sare sukh dur chale gaye. Vo pure parivar ke sath raste par aa gai.
  
                         Tab se jyadatar mahilaye Guruvaar ke din baal nahi dhoti. 

No comments

Theme images by Cimmerian. Powered by Blogger.